Welcome to my blog, a sacred space for spiritual seekers.

I’m Annu Pandey (Asht Sakhi Vrind Devi Dasi), exploring the depths of Vaishnavism, the wisdom of the Bhagavad Gita, and the intersection of spirituality, human experience, and society. This space is for thoughtful reflections, meaningful questions, and practical wisdom drawn from spiritual teachings and lived experience. Join me as we explore life’s complexities with faith, discernment, compassion, and divine guidance.

Famous Krishna Bhajan "Mera Aapki Krupa Se..." Lyrics(English and Hindi)

English

Mera Aapki Krupa Se, Sab Kaam Ho Raha Hai, (x2)
Karte Ho Tum Kanhaiya, Mera Naam Ho Raha Hai


Patvaar Ke Bina He, Meri Naav Chal Rahi Hai,
Hairaan He Zamana, Manzil Bhi Mil Rahi Hai (x2)...
Karta Nahi Mein Kuch Bhi, Sab Kam Ho Raha Hai...
Karte Ho Tum Kanhaiya.......


Tum Saath Ho Jo Mere, Kis Cheez Ki Kami Hai,
Kisi Aur Cheez Ki Ab, Darkaar Hi Nahi Nahi Hai...
Ter Saath Se Gulam, Gulfaam Ho Raha Hai...
Karte Ho Tum Kanhaiya.......


Main To Nahi Hoon Kabil, Tera Paar Kaise Paao,
Tuti Hoyi Vani Se, Gungaan Kaise Gaao,
Teri Prerana Se He, Ye Naam Ho Raha Hai...
Karte Ho Tum Kanhaiya.......


Mujhe Har Kadam Kadam Par, Tune Diya Sahara,
Meri Zindagi Badal Di, Tune Karke Ek Ishara,
Ehsaan Pe Tera Ye, Ehsaan Ho Raha Hai...
Karte Ho Tum Kanhaiya.......


Toofan Andhiyon Mein, Tune He Muzhko Thama,
Tum Krushna Ban Ke Aaye, Main Jab Bana Sudama,
Tera Karam Ye Mujhpar, Sare Aam Ho Raha Hai...
Karte Ho Tum Kanhaiya.......


Mera Aapki Krupa Se, Sab Kaam Ho Raha Hai, (x2)
Karte Ho Tum Kanhaiya, Mera Naam Ho Raha Hai



Hindi


मेरा आपकी कृपा से, सब काम हो रहा है।

करते हो तुम कन्हैया, मेरा नाम हो रहा है॥


पतवार के बिना ही, मेरी नाव चल रही है।

हैरान है ज़माना, मंजिल भी मिल रही है।

करता नहीं मैं कुछ भी, सब काम हो रहा है॥


तुम साथ हो जो मेरे, किस चीज की कमी है।

किसी और चीज की, अब दरकार ही नहीं है।

तेरे साथ से गुलाम, अब गुलफाम हो रहा है॥


मैं तो नहीं हूँ काबिल, तेरा पार कैसे पाऊं।

टूटी हुयी वाणी से, गुणगान कैसे गाऊं।

तेरी प्रेरणा से ही, सब ये कमाल हो रहा हैं॥


मुझे हर कदम कदम पर, तूने दिया सहारा।

मेरी ज़िन्दगी बदल दी, तूने करके एक इशारा।

एहसान पे तेरा ये, एहसान हो रहा है॥


तूफ़ान आंधियों में, तूने ही मुझको थामा।

तुम कृष्ण बन के आए, मैं जब बना सुदामा।

तेरे करम से अब ये, सरेआम हो रहा है॥


मेरा आपकी कृपा से, सब काम हो रहा है।

करते हो तुम कन्हैया, मेरा नाम हो रहा है॥



Hare Krishna🙏

No comments